Sunday

Apni website/blog ki rank kaise badhaye| Alexa rank kya hai? Kaise Improve kre?





Hello dosto ,kaise  hai aap umeed karta hu sb ache honge. to chaleyi aaj ke article ki taraf badhte hai. Dosto hum sabhi jante hai blogging ek aisa platform hai jaha aapk, me ya koi bhi bnda apne view ko rkh sakta hai bus dhyan dene wali ye chi hai ki vo vichar kisi ki bhavna ko thes na pahuchaye. 90% log blogging paise ke liye krte hai.
Ab paise aise hi toh ni kamaye ja sakte na iske liye apko apne blog ki quality maintain krni hogi worldwide rank ko improve karte rhna hoga. website Traffic kis type ka aa rha ye pta krna hoga
Ye sari chize hum Alexa Rank se pta kr skte hai

Alexa Amazon.com Ki ek Service hai. Iska Kaam  sbhi websites ki Ranking, traffic report, Male/female ratio traffic, bounce rat, pr visitor ne kitne pages visit kiye etc ye sab btana hai.
Alexa  service phale sbke liye free of cost thi lekin jada demand or jada use ke chalet isko paid service me badl diya gya.
Lekin appko pareshan hone ki jarurat nhi hai apko sir rank check karna hai apne blog/website ki,vo bilkul free hai.
Alexa rank kis chiz pr depend karti hai or isko improve kaise karte hai ye aap niche blog me step by step padh sakte hai




Tips and Tricks to Improve Alexa Rank (Hindi+Urdu)


Alexa rank ko improve  kare verify karke

Aap chahte ho alexa aapki website, blog ko ache s(properly) track kare to iskeliye liye dhyan rakhe ki aap alexa ki website pr jakr singup kare(i.d bnaye) ,isse hoga kya Alexa aapki site ko ache se monitor karega or aapki site ki ranking bhi improve hogi. Vaise to Alexa bina verify ke bhi aapko website ki rank btata hai, lekin kintu parantu agar magar apko Alexa accurate ranking chahiye to humhari mane to Alexa vareify karke hi use kare.

Alexa rank Ko Improve kare acche SEO wale blog/article post karke

Aapko hamesha aise article/blog likhna hoga jo SEO friendly ho, iska matlb  ye hai ki job hi aap apne blog ya website pr post kare vo achi quality ka ho or user friendly ho. Is se kya hota hai ki apki site/blog ka traffic increase hota hai or aapki Alexa rank bhi improve hoti jaati hai. Ab jb aapki pass traffic jada hoga to sidhi se bat hai website ki rank to achi hogi hi.

Alexa  Rank ko improve kare backlink ki help se

Is method se aap apni blg/website ki rank kuch hi time me bahut jada improve kar sakte hai.
Iske liye appko apne blog/website se hatkr dusre logo ke website/blog ke comment box me kuch bhi comment karna hoga(comment blog ki quality ke according ho tohjada behtr hoga)
Jb aap comment karoge toh appka naam apkka apka email, or aapke website/blog ka URL mangega usme aap apne website ka URL daal dijiye, isse hoga kya job hi koi aapke naam pr click karega vo direct apki website pr pahuch jayega, is method ko hi backlinks bolte hai.
Aapko jada ni bus din me 20-25 sites/blogs pr acha comment karna hoga. Aap dekhoge ki aapki website rank ek sath kitni jada improve hogi.

Alexa rank ko improve kare facebook pr share karke

Facebook aaj ke time me sbse bada platform ha social media ka.toh agar hum apne blog/website ki ranking improve karna chahte hai uske liye simply apne articles ko facebook pr jitna jada se jada share kar sake kre, isseapka ranking bahut jaldiimprove hogi.

Alexa rank ko improve kare review Alexa ke upper article likh kar

Hum aapko ye btana chahte hai ki agar aap Alexa ki bare me apne blog/website me kuh acha likhte hai or vo Alexa team ke logo dekhte hai, agar aisa hota hai toh Alexa wale lhush ho kr ya policy ke madhaym se aapki site/blog ki rank increase kar dete hai
Humhari advice yehi hai apko ek article About Alexa jarur likhe.

Alexa rank ko improve kare daily post karke

Is method me koi karistani nhi hai, simply aapko karna ye hai ki aapko apni website/blog pr  daily ke daily post karna hai,
Daily post karke Alexa rank improve karne ka sabse acha tarika hai, isme apko kuch khas ni karna hota hai, bus aap apne blog/website per daily ka daily post karte rahe isse automatically Alexa rank improve hogi.
Aapke blog per quality post agar daily hone lagenge toh google apke post ko acha rank provide karega, jisse apko automatically aca traffic milega jo apke blog/website ki rank ko improve kare.
Humhari advice aapko sirf  itni ki aap daily ke daily ache se acha article post kare.

Alexa Widget kaise add kareg blog/website pr

1.      Sbse phale blogger ko open kare jaha apne apna blog bnaya hai,
2.      Sign in kare  or blog open kare,
3.      Ab layout pr click kare,
4.      Ab Add widget pr click kare,
5.      Jaise hi aap Add widget pr click karoge ek nayi popup tab khulgi usme Html Java Script option or click kare,
6.      Ab description box me niche diye hoye code ko paste kar de,
7.      Save option pt click kar de.

<a href="http://www.alexa.com/siteinfo/www.sansarikgyan.com" rel="nofollow" target="_blank"><script src="http://xslt.alexa.com/site_stats/js/t/a?url=sansarikgyan.com" type="text/javascript"></script></a>


yaha ye code hai isme apko sansarikgya.com ki jagha pr apni website/blog  ka link dalna hoga,  code .code dalne ke baad save pr click kar de or permanently save karne ke liye “Save arrangement” pr click kare.  Aap Alexa ko check karne ke liye apne blog/website ko dekho, vaha apko Alexa ka widget dikhayi dega


Ummed krte hai apko humhara article pasand aaya hoga

Please like share and comment

1 comment :
Write comments